Insaan
Kisi ne toda masjid sina thok ke...
Kisi ne badle me madir ko toda
Ek kamzor ki yaha haisiyat hi kya hogi
In balshaliyo ne upar wale ko na chhoda
Jalte rahe kahi ram to kahi allah ko dafnaya
Jawab me insan se hi insan ko katwaya
Hasi aati hai unse dharm ki baat jab sunte hai
Jo shayad khud aaj tak insaniyat ka na ho paya!!
Namskar ho ya salam ho, Geeta ho ya Quran ho
Chahe ho allah, ya Nanak, ya esu, Chahe raam ho
Kyu nahi ho sakti aisi ek duniya jaha upar wale se pehle insan ho!!!
Comments
Post a Comment