Har raat ki subah hoti hai... Har baat ki wajah hoti hai... ek taraf sacchai ka saya... Dusri taraf ummido ka Daman... Usi ke bich kahi zindagi ki jagah hoti hai!!!!!
Kisi ne toda masjid sina thok ke... Kisi ne badle me madir ko toda Ek kamzor ki yaha haisiyat hi kya hogi In balshaliyo ne upar wale ko na chhoda Jalte rahe kahi ram to kahi allah ko dafnaya Jawab me insan se hi insan ko katwaya Hasi aati hai unse dharm ki baat jab sunte hai Jo shayad khud aaj tak insaniyat ka na ho paya!! Namskar ho ya salam ho, Geeta ho ya Quran ho Chahe ho allah, ya Nanak, ya esu, Chahe raam ho Kyu nahi ho sakti aisi ek duniya jaha upar wale se pehle insan ho!!!
Comments
Post a Comment